2010-2019
Pyaari Betiyaa
October 2019 maha sammelan


Pyaari Betiyaa

Hum sabhi ke dil me jawaan mahilaae ke liye Prabhu Ishu Masih me atooth vishwaas hasil karne me madad karne ki hamare ichcha hai.

Mere priye bahanon, mujhe anand mila hai aaj tumhare saath yahan rehne se! Hum revelaishan ka ek bahaao dekh rahe hai jo donon aatmik tanaao laata aur jaandaar bhi hai.

Shuru kare se pehle, mai aapko kuch dosto se milwaana pasand karunga; yeh jawaan mahilaaen hai jo gun, vyavahaar, aur niji aur pariwaar paristhiti me anokhe hai. Unme se har ek, aap sab ki tarah, ne mujhe prabhaawit kiya hai.

Tasveer
Bella

Sabse pahele, Bella se mile. Wah Iceland me apni shaka ki ekmaatr mazboot jawaan mahilaa hai.

Tasveer
Josephine

Africa ke samarpit Josephine se miliye, jinhonne roz Mormon Dharamshaastra adhyayan karne ka nirnay liya hai. Wah us shakti aur un ashirvaadon ko khoj rahi hai jo is saral, vishwaasyogye kaarye se aata hai.

Tasveer
Ashtyn

Aur anth me, meri pyaari saheli Ashtyn se miliye, ek asaadhaaran jawaan mahilaa jo che-saal cancer se peedit thi par bach nahi paai. Ishu Masih ke Praeshchit ki uski mazboot gawaahi mere dil me abhi bhi goonjatee hai.

Aap sabhi asadharan jawaan mahilaae hai. Aap alag hai, pratyek apne khud ke uphaaron aur anubhavon ke saath par phir bhi ek bahut mahatvapurn aur anant tarika se ek samaan hai.

Aap sachmuch Swargiye Maata-Pita ki aatmik betiyaa hai, aur kuch bhi tumhe Unke pyaar aur apna Uddhaarkarta ke pyaar se alag nahi kar sakta.1 Jaise hi aap Uske kareeb aate hai, bhale chote kadam uthaate huwe, aap us sthaayee shanti ki ko paaoge jo hamare aatma me hamare Uddhaarkarta, Ishu Masih ke wafadaar shishye ke rup me basti hai.

Pradhaan Russell M. Nelson, hamare bahut pyaare profat, ne kaha ki mai kuch prerit badlaao sheya karun jo aapko madad karenge “[aapki] pavitra vyaktigat chamta ko viksit karne me”2 aur aapke dhaarmik prabhaav ko badhaegi. Mai aaj raat badlaao ke chaar kshetron ke baare me bataungi.

Jawaan Mahilaaon ka Vishay (Theme)

Pahela, hum sab Jawaan Mahilaaon me jo karte hai uska wajah hai hamara ichcha tumhe Prabhu Ishu Masih me atooth vishwaas dilaane me madad karna3 aur Parmeshwar ki beti ke rup me apan divye pahechan ka ek thos gyaan rakhna.

Aaj raat ko, mai Jawaan Mahilaae ki vishay(Theme) me badlaao ki ghoshna karna chahungi. Mai praathna karti hoon ki aap Pavitra Aatma ko mehsoos karengi in shabdo ki sachchai ki gawaahi par jaise mai naya vishay(theme) kahati hoon:

Mai swargye maata-pita ki pyaari beti hoon,4 ek divye swabhaao aur anant bhaagye ke saath.5

Ishu Masih ke shishye ke rup me,6 mai Unke jaisa banne ka prayaas karti hoon.7 Mai vyaktigat revelaishan ko talaashti hoon8 aur dusron ki dekhrekh karti hoon Unke pavitra naam se.9

Mai Parmeshwar ki gawaah ban ke khadi rahungi sab samay aur sab cheezo me aur sab jagah pe.10

Jaise ki mai prayas karti unnati paane ke kaabil hone me,11 mujhe pashchataap ke uphaar pasand hai12 aur har din sudharna chahati hoon.13 Vishwaas ke saath,14 mai apni ghar aur parivaar ko mazboot karungi,15 pavitra vaado ko banaungi aur rakhungi,16 aur mandir ke dharam vidhiyon17 aur tempal ki ashirvaad ko praapt karungi.18

“Hum long” se “Mai” badlaav par dhyaan dena. Yeh sachchaaiyaan aap pe niji roop se lagoo hote hai. Aap Swargiye Maata-Pita ki pyaari beti hai . Aap hamare Uddhaarkarta Ishu Masih, ke ek vachanbadh sadasye hai . Mai aapko in shabdon ke adhyan aur vichaar ke liye amantrit karti hoon. Mujhe pata hai ki jaisa aap jaanti hai, aap Unki sachchaai ki gawaahi praapt karengi. In sachchaiyo ko samajhne se aap kis tarah chunautiyon ka saamna karti hai badal jaega. Apni pahechan aur uddeshy janne se tumhe apni ichchha ko Uddhaarkarta se milaane me madad milegi.

Ishu Masih ke anusaar chalne se shaanti aur maargadarshan aapka hoga.

Jawaan Mahilaae ki Kakshaaen

Badlaao ka dusra kshetr Jawaan Mahilaaen ki kakshaaon ko prabhaavit karta hai. Elder Neal A. Maxwell ne kaha, “Isliye aksar logon ko jis cheej ki bahut zaroorat hote hai, wah hai suraksha ka ek sthaan, jahaan har kisi ka swaagat ho.”19 Hamare kakshaen tufaan, pyaar aur apanepan ke surakshit sthaan hone chaahiye. Adhik se adhik ekta banaane, mitrata ko mazboot karne, aur Jawaan Mahilaae ke bheetar apanepan ki bhaavana ko badhaane ke prayaas me, hum kaksha ke banawat me kuch badlaao laa rahe hai.

Ek sadi se bhi adhik samay se, jawaan mahilaaon ko teen kaksha me baata gaya hai. Turant shuru karte hue, hum Jawaan Mahilaae netaon aur bishap ko aamantrit karte hai ki weh pratyek jawaan mahilaa ki zarooraton par dhyaan se vichaar karen aur ward ki khaas paristhitiyon ke anusaar unhen ayojit karen. Yahan kuch uddharan hai jo dikhaaenge kaise yeh dikhega.

  • Yadi aapke paas kamti jawaan mahilaae hai, to aap sabhi ko saath leke baithak kar sakti hai.

  • Shaayad aapke paas 12 saal ki jawaan mahilaae ka ek bada dal hai aur fir jawaan mahilaae ka ek chota dal hai jisme badi ladkiyaan hai. Aap do kakshale sakte hai: Jawaan Mahilaaen 12 aur Jawaan Mahilaaen 13-18.

  • Ya yadi aapke paas 60 jawaan mahilaae kabada ward hai, to aapke paas cheh kakshaen ho sakte hai, jo pratyek varsh ke liye, umra ke mutaabik aayojit ki jaaegi.

Haalaanki aapki kakshae aayojit ki jaati hai, aap jawaan mahilaaon ekta banaane me mahatvapurn hai. Apne aasapaas ke logon ke liye ek prakaash bano. Us pyaar aur dekhabhaal ka srot bano jo aap dusron se praapt karne ki ummeed kar rahe hai. Apne dil me ek praathna ke saath, dusro tak pahunchna jaari rakhe aur achchaai ki ek taaqat bane. Aisa kare se, aapka jiwan daya se bhar jaega. Aap dusron ke prati ek behtar bhaavna rakhenge aur badle me unki achchai dekhne lagenge.

Jawaan Mahilaaon ke Kaksha ke Naam

Teesra, is nae kaksha ke sangathan ke saath, sabhi kakshaao ko “Jawaan Mahilaaon” ke ekikarniye(unifying) naam se bola jaaega.”20 Hum Beehive, Mia Maid, aur Laurel ke naamon ka upayog karna band kar denge.

Kaksha Adhyakshtaaon ko Majboot Banana

Mai jis antim kshetr ke baare me batanachahati hoon wah kaksha ke adhyakshon ka mahatva hai. Koi phark nahin padta ki Jawaan Mahilaaen kakshaen kaise aayojit ki jaati hai, har kaksha me ek klaas adhyaksha honi chaahiye!21 yah divy disain dwara hai ki jawaan mahilaaen ko apni yuvaavastha me netritav karne ke liye kaha jaae.

Kakshaaon ke adhyakshta ka bhumika aur lakshye mazboot ho gaya hai aur achchi tarah samjhaya gaya hai. Klass adhaykshao ke uddaar ke kaam me yeh mahatvapurn bhumikaen aur zimmedaariyaan hai, vishesh rup se dekhrekh, mishanari kaaryon, ektivashan, aur mandir aur parivaar ke itihaas ke kaam ke kshetron me.22 Haan, isi tarah hum Israel ko ikattha karte hail23—ek vishaal kaarye sabhi jawaan mahilaaon ke liye jo Prabhu ke yuva sena ka bhaag hingi.

Jaisa ki aap jaante hai, Girjaghar ke har star par, Prabhu apne logon ka netritav karne ke liye ek adhyakshtaon(presidency) ko niyukt karta hai. Jawaan Mahilaaen, ek klaas ke adhyakshtaon ki sadasy hone ke naate netritav ke is prerit petan me bhaag lene ka aapka pahala avasar ho sakta hai. Buzurg neta, klaas adhyakshta ki koling ko praathmikta denge aur phir unke saath kandhe se kandha milaa kar sehyog aur maargadarshan denge taaki weh safal ho sake.24 Klaas adhyakshaon ka netritav ka anubhav star jo bhi ho, jahaan ho wahan se shuru karein aur unhein kaushal aur aatmavishwaas viksit karne me madad kare jo unhein netaon ke rup me ashirvaad dega. Unke kareeb rahe, lekin niyantran khud mat karo. Aatma aapka maargdarshan karenge jab tum unhe maargdarshan doge.

Tasveer
Chloe

Maata-pita aur netaon ki mahatvapurn bhoomika ko sanrakshak ke rup me samajhaane ke liye, mai aapko ek kahani bataata hoon. Chloe ko klaas pradhaan ke rup me sewa karne ke liye bulaaya gaya tha. Unke purohiti neta ne unhe presidensi ke liye naamon ki sifaarish karne me Prabhu ki madad lene ke liye protsaahit kiya. Chloe ne prathana ki aur prerna praapt ki ki kise apne kaunsala ke rup me jaldi se sifaarish karen Jaisa ki woh ek sekretri ke baare me vichaar karne ka prathaana kar rahi thi, Aatma ne baar-baar uska dhyaan ek jawaan mahilaa par kendrit kiya jisne use aashcharyachakit kar diya—woh vyakti jo shaayad hi kabhi girjaghar ya gathividhiyon me aati thi.

Prerna se thoda asurakshit mehsoos karke, Chloe apan maa se baat karis, jinhonne samjhaaya ki revelaishan praapt kare ke ek tarika baar baar aane waale vichaar hai. Nae aatmavishvaas ke saath, Chloe ko laga ki woh is jawaan mahilaa ki sifaarish kar sakti hai. Bishap ne kol badhaaya, aur jawaan mahilaa ne swikaar kar liya. Set apart hone ke baad, is pyaari sekratri ne kaha, “Tumhe pata hai, ki mujhe kabhi aisa mehsoos nahin hua ki mere paas koi jagah hai, ya kahi bhi meri zaroorat thi. Mujhe nahin laga mera kahi koi jagah hai. Lekin is kolling ke saath, halaanki mujhe lagta hai ki Swarg Pita ke paas mere liye ek lakshye aur sthaan hai. Jab Chloe aur uski maa meting se gaye, Chloe ne apni maa ki or rukh kiya aur kaha, apne aankhon me aansoo lekar, “Revelaishan asli hai! Revelaishan vaastao me kaam karta hai!”

Kaksha ke adhyakshtaaen, aapko Parmeshwar dwara bulaaya gaya hai aur Unki betiyon ke ek da ka netrtav karne ke liye bharosa diya jaata hai. “Prabhu aapko jaanta hai. … Usne aapko chuna hai.”25 Aapko purohiti adhikaar vaale vyakti dwaara set apart kiya gaya hai; iska matlab hai ki jab aap apna kolling ki sewa karoge, aap purohiti adhikaar prayog karte hai. Tumhare paas ek mahaan kaarye hai karne ke liye. Pavitra Aatma ke sanket par sanvedanshil aur kaarye karein. Jab aap aisa karte hai, aap vishwaas ke saath sewa kar sakte hai, kyunki aap akele nahi sewa karte!

Kaksha adhyakshaaen, Elder Quentin L. Cook ne aaj jo naye ward yuva council ki ghoshna ki hai us me hamein aapki buddhi, aavaaz aur energy ki aavashyakta hai. Aap apni bhaaiyon aur bahanon ki zarooraton ko pura karne ke liye samaadhaan ka ek avashyak bhaag hai.26

Kaksha sangathan aur netrtav me ye badlaao jald se jald shuru ho sakte hai jaise ward aur branches taeyaar hai lekin 1 January, 2020 tak aayojit ho jaani chahiye.

Meri pyaari bahanon, mai is badlaao ka gawahi deta hoon ki mainne aaj jo badlaao kiye hai, weh Prabhu se prerit nirdeshan hai. Jab ham in badlaao ko lagan se laagoo karte hai, hum apne uddeshy se kabhi nahin chook sakte: Ishu Masih ka anusaran karne ke liye apne sankalp ko majboot karna aur dusaron ko Uski paas aane me madad karen. Main gawahi deta hoon ki yah Unka Girjaghar hai. Mai kitna abhaari hoon ki woh hamein maoka deta hai Uske pavitra kaam ka bahut zaroori bhaag hone me.

Mai prathana karta hoon ki in badlaao ko jis Aatma ne nirdeshit kiya hai waho aapko raah dikhaaenge jab aap vachan paalan karne waale raaste pe chalenge. Mai yeh gawahi deta hoon Ishu Masih ke naam se, amen.