2010-2019
Santo ka Anand
October 2019 maha sammelan


Santo ka Anand

Anand Masih ki agyaaon ko nibhaane se, Unke zariye dukh aur durbalta par kaboo paane se, aur Unki tarah sewa karne se milta hai.

Mormon Dharamshaastra ki profat Enos, Lehi ke pota, ek jiwaan ki akela anubhav likha tha jo uske jiwan me hua tha. Jangal me akela shikar karte huwe, Enos ne apne pita Jacob, ki shikshan ke baare me socha. Usne bataya, “Jo baatein main apne pita se anant jiwan, aur santon ke vishay me suna karta tha wah mere hriday me achchie tarah pravesh kar chuki thi.”1 Uski aatma ki dhaarmik bhookh me, Enos ne ghutno pe praathna kiya, ek aasadharan praathna jo pure din aur raat jaari raha, ek praathna jisse use mahatavpurn revelaishan, ashuwaasan, aur vaada mila.

Enos ke anubhav se bahut kuch sikhna hai, magar aaj mere dimaag me kya hai woh hai Enos ka apne pita ko aksar yaad karke bolta rehna “santon ka anand” pe.

Teen saal pahele is sammelan me, Pradhaan Russell M. Nelson ne anand ki baat kahi.2 Anye baato ke alawa, unhone kaha:

“Woh khushi jon hum long mehsoos karta bahut kum hum long ke jiwan ke paristithi seh taallukh rakkhe hai.

“Jab hamari jiwan Parmeshwar ki uddhaar ka yojna ... aur Ishu Masih aur Uski susamachaar par fokas hai, hamare jiwan me jo ho raha hai—ya nahi ho raha hai—chahe jo bhi ho hum anand ko mehsoos karega. Unse aur Uski vajah se anand aata hai. ... Antim-din Santon ke liye, Ishu Masih anand hai!”3

Santo weh hai jo pravesh kar chuke hai susamachaar vachan me baptisma ke maadhyam se aur Masih ka paalan karne ka prayaas kare hai Unki chela ki roop me.4 Isi prakar, “santon ka anand” Masih jaisa banne ke anand ko goshit karte hai.

Mai anand ki baat karna chahuga jo Uski aagyaaon ko nibhaane se milta hai woh anand jo Unke zariye dukh aur durbalta par kaboo paane se utpann hota hai, aur jo anand Unki tarah sewa karne se milta hai.

Masih ke Agyaaon ke Paalan Se Anand

Hum ek ichchao ki santushi ki umar me raheta hai jab kai longo Prabhu ki agyaaon ki mahatav pe sawaal karte hai ya uspe dhyaan hi nahi dewe. Zyaada kar ke,jo log divye nirdesh ko nazarandaaz karte hai jaise shudhta ka niyam, imandaari ka star, aur Sebath ki pavitrata aage badhte jaate hai aur jiwan ki achche chize ka anand lete hai, kabhi kabhi itna zyaada ki jo aagyakaari hai unse bhi zyaada. Kuch log sochne laagte hai ki kya koshish aur balidaan karne me faeda hai. Israel ke pracheen long ne ek baar shikayaat ki:

“Parmeshwar ki sewa karna vyarth hai: hum ne jo uske bataaye huwe kaamo ko pura kiya aur senaao ke Prabhu ke dar ke maare shok ka pahinawaa pahine hue chale hai, is se kya laabh hua?

“Aur ab se hum abhimaani ko dhanye kahete hai; haan, kyunki durachaari to safal ban gaye hai; haan, weh Parmeshwar ki parikcha le kar bhi bach gaye hai.”5

Bas intazaar kare, Prabhu ne kaha, “us din jab mai aisi komalta karunga.” … Tab tum ... dharmi aur dusht ka bhed, atharth jo Parmeshwar ki sewa karta hai, aur jo uski sewa nahi karta, un dono ka bhed pahichaan sakoge.”6 Dusht ko “ek samay ke liye unke kamo me anand ho sakta hai,” magar sirf thoda hi samay ka.7 Santo ka anand lambe sama ka hoga.

Parmeshwar chizo ko dekhta hai unke sachcha anudrishye se, aur Uski agyaaon se Woh hamare saath us anudrishye se baatta hai, theek se humko nuksaan me aguwaai karta hai aur maranshilta ki kathinaaiyon seanant anand ki or le jaata hai. Profat Joseph Smith samjhaais: “Jab uski aagyaaen hum ko sikhate hai woh hi anant iiwan ko dekhata hai; kyunki hame anant kaal tak Parmeshwar dekhega.”8

Mujhe aisa koi nahi mila jisne jiwan me baad me susamachaar paaya ho jisne pehle ichcha nahi ki thi ise paane ki. “Oh, kyun nahi mai un ghatiya chunaao aur galtiyon se bach saka,” woh long kahenge. Prabhu ki agyaaen hamara maargdarshan hai behtar chunao aur khushaal parinaam ka. Hame kaise anandit hona chahiye aur Unko hame dhanyevaad dena hai yeh zyaada behtar raasta dikhaane ke liye.

Tasveer
Bahan Kamwanya

Jab u ek yuva thi, Bahan Kalombo Rosette Kamwanya jo D.R Congo ki hai, abhi Côte d’Ivoire Abidjan Mission me sewa kar raha hai, ne teen din se upwaas aur praathna ki taaki woh jaane ki kaha Parmeshwar use le jaana chahate the. Ek asadharan raat drishti me, unko do imaarat dikhaya gaya, ek tha chapel aur dusra jo woh ab jaan paai hai tha ek mandir. Woh turant hi talaash karne lagi aur jaldi hi chepal ko paaya jo usne sapna me dekhi thi. Sain me likha raha, “Ishu Masih Ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon Ka.” Bahan Kamwanya ka baptisma hua aur tab uski maa ka aur uske che bhaaiyon ka bhi. Bahan Kamwanya ne kaha, “Jab mujhe susamachaar praapt hua, mai ek kaed me rehne waali pakshee ki tarah thi jise aazaad kar diya hai. Mera dil anand se bhar gaya. … Mujhe is baat ki pushti thi ki Parmeshwaar mujhse pyaar karta hai.”9

Prabhu ke agyaaon ka palaan karne se hamein aur purn rup se aur aasaanise maoka milta hai Uske pyaar ke mehsoos kare ke. Sidha aur patra aagyaaon ke rasta seedha jiwan ke ped tak le ke jaawe, aur uh ped aur uske fal, sabse mittha aur “chaahita sabhi cheezon ke milaan me,”10 Parmeshwar ke pyaar ko dikhaata hai aur aatma ko “dher saara mahaan anand se”11bharta hai. Udhaarkarta ne kaha:

“Agar tum meri aagyaaon ko maanoge, to mere prem ko swikaar karoge; jaisa hi maine apne Pita ki aagyaaon ko maana hai, aur uske prem ko swikaar kiya hai.

“Maine ye baate tum se isliye kahi hai, ki mera anand tum me bana rahe, aur tumhara anand pura ho jaye.”12

Masih ke Zariye Kaboo Paane ka Anand

Yaha tak ki jab hum vishwaas purvaak agyaaon ko rakhte paye jaate hai, waha par musibaton aur dukh hai jo hamare anand ko rok sakta hai. Magar jaise hum in chunaotiyon pe kaboo pate hai Uddhaarkarta ki madad se, woh barkaarar karta hai woh anand jo hum abhi mehsoos karte hai aur jo hum ummeed karte hai. Masih ne Apne chelon ko bharosa dilaya, “Sansaar mein tumhein takleefe milti hai: parantu dheeraj baandho; maine sansaar ko jeet liya hai.”13 Yah Uske or mudne me hai, Uska aagya manna, khud ko Usse jude rakhne me musibatein aur dukh anand me badal jaate hai. Mai ek uddharan bataunga.

1989 me, Jack Rushton United States me Irvine California Stake me pradhaan tha. California coast par ek parivaar ki chuthee ke dauraan, Jack surfboard ke binna ek lahar ki sawaari karta raha jab ek lahar uske ek chipe huwe chatthaan me baha le gaya, uski gardan ko todh diya aur uski ridh ki haddee ko gambeer roop se ghaayal kar diya. Jack ne baad me kaha, “Jab mujhe chot laga, mai jaan gaya tha ki mai peralaiz ho gaya tha.”14 Woh apne aap na toh baat kar sakta tha na saans le paata tha.15

Tasveer
Pariwaar aur dost Rushton pariwaar ko madad karte huwe

Parivaar, doston, aur stake membaron ne Bhaai Rushton aur uski patni, Jo Anne, aur, anye saamaano ke saath, unke ghar ke ek hissa ko phir se taaki Jack ka wheelcheyar istemaal aasaan ho jaaye. Jo Anne agle 23 varshon tak Jack ki pramukh dekhbaal karne waali ban gayi. Mormon Dharamshaastra ke khaaton ka jikr karte huwe ki kaise Prabhu ne apne logon ka daura kiya unke dukhon me aur unke bojh ko halka kar diya,16 Jo Anne ne kaha, “Mai aksar chakit rah jaati hoon dil ki halkaapan se jo mai mehoos karti jab mai apne pati ki dekhbaal karti hoon.”17

Tasveer
Jack aur Jo Anne Rushton

Ek maamuli badlaao se uske saans lene ke nali me hone se Jack baat karna paaya, aur ek saal ke bheetar, Jack ko Gospel Doctrine teacher aur stake patriarch banaya gaya. Jab woh patriarchal ashirvaad deta hai, ek anye purohiti rakhnewaala ne ahirvaad praapt karne waale vyakti ke sar par Bhaai Rushton ka haath uske insaan ke sir pe rakhta jo ashirvaad paa raha hota hai aur uske haath aur baaho ko sambhaale rakhta ashirvaad dene ke samay. 2012 ke Badadin ke Din Jack ki mrityu hui, 22 saal ki achchi sewa ke baad.

Tasveer
Jack Rushton

Ek baar ek intaviu me, Jack ne dekha: “Samasyaen hum sabhi ke jiwan me ayengi; yah is dharti par rehne ka hissa hai. Aur kuch long sochte hai dharm ya Parmeshwar ke prati aastha rakhna aapko bure cheezon se bachaega. Mujhe nahi lagtaa ki woh baat hai. Mujhe lagtaa hai ki baat yah hai ki agar hamara vishwaas mazboot hai, ki jab bure cheezon hota hai, jo hoga, hum unse nipat paaenge. ... Mera vishwaas kabhi sandeh nahi kiya, lekin iska matlab yah nahi hai ki mere paas chintaaen nahi the. Mujhe lagtaa hai ki mere jiwan me paheli baar mujhe is seema tak dhakela gaya tha, aur sachmuch me kahi aur mudna nahi tha, aur isliye maine Prabhu ki or rukh kiya, aur aaj tak, mujhe anand ka anubhav hai.”18

Yah kabhi kabhi soshal midia me aur un logon ke khilaaf nirdyataapurn hamalon ka din hota hai, jo un longo ke khilaaf hote hai, jo kapde, manoranjan aur sexual shuddhta me Prabhu ke star ko kayam rakhte hai. Ye aksar yuvaon aur yuva baaligon ke saath saath mahilaaon aur mataaon ke beech hota hai, jo mazaak aur durvyavahaar ko sahan karte hai. Is tarah ke durvyavahaar se upar uthna aasan nahi hai, lekin Peter ke shabdon ko yaad karo: “Fir yadi Masih ke naam ke liye tumhari ninda ki jaati hai toh tum dhanye ho, kyunki mahima ka aatma, jo Parmeshwar ka aatma hai, tum par chaya karta hai.”19

Garden of Eden me, Adam aur Eve maasumiyat ki sthiti me the, “koi anand nahi tha, kyunki woh dukh nahi jaante the.”20 Ab, javaabadeh praaniyon ke rup me, hamein dukho par kaboo paane me anand milti hai, chahe wah paap ho, mukadame ho, kamzori ho, ya anand ke liye kisi bhi anye cheez ke liye ho. Yeh shishyatav ke maarg me sanwedan pragaati ki anand hai; “paapon ki chuut paane, aur antaraatma ki shanti hone”;21 ki khushi kise ki aatma ko mehsoos karne aur Masih ki kripa se badhne aur badhne ki anand hai.22

Masih ki Tarah Sewa Karne ka Anand

Uddhaarkarta ko hamari amraataa aur anant jiwan ko prerit karne me khushi milti hai.23 Uddhaarkarta ki praeshchit ke baare me, Pradhaan Russell M.Nelson ne kaha:

“Jaise sab me, Ishu Masih hamare param uddharan hai, ‘jisne us anand ke liye jo uske aage dhara tha, laajaa ki kuch chinta na karke krus ka dukh saha’ [Hebrews 12:2]. Uske baare me socho! Uske liye prithvi par sabse adhik khashtdaayi anubhav sahan karne ke liye, hamare Uddhaarkarta ne anandpar dhyaan kendrit kiya!

“Aur kaun sa anand Uske saamne rakha gaya tha? Nischit roop se isme safai, upchaar aur hamein mazboot banane ki anand shaamil thi; pashchataap karne waale sabhi ke paapon ka bhugtaan karne ki anand; aapke aur mere liye yaha sambhav hai ki hum ghar laotenge—saaf aur yogye—apne Swargiye Maata-pita aur parivaaron ke saath rahne ke liye.”24

Isi tarah, jo anand “hamare saamne hai” mukti ke apne kaam me Uddhaarkarta ki sahayata karne ka anand hai. Abraham ke beej aur bachche hone ke naate,25 hum dharti ke sabhi pariwaaron ko ashish dene me bhaag lete hai “Susamachaar ke ashirvaadon ke saath, jo uddhaar ke ashirvaad hai, anant jiwan ke bhi.”26

Alma ka shabd mujhe yaad aata hai:

“Aur mera mahima yahi hai, ki kuch aatmaon ko pashchatap me laane ke liye Parmeshwar ke haath ka mai sambhawat ek saadhan ban saku; aur yahi mera anand hai.

“Aur sunno, jab mai apne bahut se bandhuwo ko pashchatap karte, aur apne Prabhu Parmeshwar ke paas aate dekhta hoon, tab meri aatma anand se bhar aati hai. ...

“Mai apni hi safaltaa par anand nahi manaa raha hoon, parantu apne un bhaaiyon ki safaltaa par mera anand aur bhi purn hua, jo ki Nephi ke desh me gaye the. ...

“Jab mai apne in bhaaiyon ki safaltaa par dhyaan deta hoon tab anand ke maare meri aatma maano sharir se bahar ho jaati hai, itna mahan hai mera anand.”27

Girjaghar me ek dusre ke liye hamari sewa ka fal hamare “saamne diya gaya” anand ka hissa hai. Yaha tak ki nirashaa ya stres se, hum sabr se minista kar sakte hai agar hum Parmeshwar ko prasann karne ki anand par dhyaan de aur Uski bachchon ko, hamare bhaaiyon aur bahanon ko roshni aur raahat laata hai.

Pichle mahina me jab mai Haiti me tha Port-au-Prince Tempal ki samarpan pe, Elder David aur Sister Susan Bednar ek jawaan bahan se mile jiska pati kuch din pahele ek dukhad durghatna me maara gaya tha. Weh uske saathe roye the. Raviwaar ko yeh priye mahilaa tempal me pravesh karne waale sabhi logon ke liye usher thi, swagaat karne waale halke, muskaan ke saath samarpan sevaon me aane waalo ke liye.

Mera maannaa hai ki param “santo ka anand” yah jaanne me aataa hai ki Uddhaarkarta unke karan ki vintee karta hai,28 aur koi bhi us anand ki kalpana nahi kar sakta ki jo [hamari aatma] [ke rup me] hum[Isu Masih ko sunnenge] hamare liye prathana karte hai Pita se.”29 Pradhaan Russell M. Nelson ke saath, mai gawahi deta hoon ki wafadaar Santon ke liye ek uphar hai, “jo duniya ke krus ko sahan kar chuka hai”30 aur jo “jaanbhujhkaar ek dharmee jiwan jeene ki koshish kar rahe the jaisa ki Ishu Masih ne sikhaya tha.”31 Aapka anand pura ho, main prarthna karta hoon Ishu Masih ke naam se, amen.

Naut

  1. Enos 1:3.

  2. Dekhiye Russell M. Nelson, “Joy and Spiritual Survival,” Liahona, Nov. 2016, 81–84.

  3. Russell M. Nelson, “Joy and Spiritual Survival,” 82.

  4. Dekhiye Bible Dictionary, “Saint.”

  5. Malachi 3:14–15.

  6. Malachi 3:17–18.

  7. Uddhaarkarta ne ghoshna ki yadi koi girjaghar (ya ek jiwan) “mere susamachaar par nahi banaya gaya hai, aur purusho ke kamo par, ya shaetaan ke kamo par banaya gaya hai, toh mai aapse kaheta hoon ki unke kamon me anand hai thode samay ke liye, aur uske ant tak, aur weh niche gaye aur aag me dal diye, jaha se koi waapasi nahi hui” (3 Nephi 27:11).

  8. Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 475.

  9. Vyaktigat vaartalaabh.

  10. 1 Nephi 11:22; 1 Nephi 8:11 bhi dekhiye.

  11. 1 Nephi 8:12.

  12. John 15:10-11; par zor diya gaya.

  13. John 16:33.

  14. Jack Rushton, “Faith in Adversity: Jack Rushton and the Power of Faith,” SmallandSimpleTV, Sept. 2, 2009, YouTube.com me.

  15. Dekhiye Allison M. Hawes, “It’s Good to Be Alive,” Ensign, Apr. 1994, 42.

  16. Dekhiye Mosiah 24:14.

  17. Jo Anne Rushton, in Hawes, “It’s Good to Be Alive,” 43.

  18. Jack Rushton, “Faith in Adversity: Jack Rushton and the Power of Faith” me.

  19. 1 Peter 4:14. 2 Nephi 9:18 aur 3 Nephi 12:12 mein paaye jaane waale vaadon ko bhi yaad rakhe.

  20. 2 Nephi 2:23; Moses 5:10–11 bhi dekhiye.

  21. Mosiah 4:3.

  22. Hum James ki shadon ko yaad karte hai jo Joseph Smith ko prerit kiya tha ki “Parmeshwar se maango” (James 1:5). Kam parichit yeh verses hai:

    “He mere bhaaiyon, jab tum nana prakar ki parikchaao me pado, to isko pure anand ki baat samjho;

    “Yah jaankar ki, tumhare vishwaas ke parkeh jaane se dhiraj utpann hota hai.

    “Par dhiraj ko apna pura kaam karne do ki tum pure aur siddh ho jaao, aur tum me kisi baat ki gati na rahe” (Joseph Smith Translation, James 1:2 [ James 1:2, footnote a]; James 1:3–4me).

  23. Dekhiye Moses 1:39.

  24. Russell M. Nelson, “Joy and Spiritual Survival,” 82–83; original me zor diya gaya.

  25. “Aur yadi tum Masih ke ho to Abraham ke vansh aur pratigya ke anusaar waaris bhi ho” (Galatians 3:29; Genesis 22:18; 26:4; 28:14; Acts 3:25; 1 Nephi 15:18; 22:9; Doctrine and Covenants 124:58) bhi dekhiye.

  26. Abraham 2:11.

  27. Alma 29:9–10, 14, 16. Usi tarah, Prabhu hum se ye kahega, “Aur ab, agar tumhara anand mahaan hoga us atma ke saath jise tumne mere paas mere Pita ke raajye mein lae ho, kitna mahaan tumhara anand hoga agar tum mere paas kai atmaon ko laoge!” (Doctrine and Covenants 18:16). Woh teen Nephites ko weh pura anand ka ek vaada diya gaya tha kyunki weh Masih ke liye aatmao ko laana chahate the “jab tak ki duniya rahe” (3 Nephi 28:9; 3 Nephi 28:10 bhi dekhiye).

  28. Dekhiye Doctrine and Covenants 45:3–5.

  29. 3 Nephi 17:17.

  30. 2 Nephi 9:18.

  31. Russell M. Nelson, “Joy and Spiritual Survival,” 84.