2015
Ishu Maseeh ke Divye Gun: Shaktishaali aur Mahima se Bhara hua
September 2015


Shikshan Sandesh Bhent, September 2015

Ishu Maseeh ke Divye Gun: Shaktishaali aur Mahima se Bhara hua

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Dharamshaastra hume sikhlaatein hain ki Ishu Maseeh “ne sabhi shakti ko prapt kiya, dono swarg aur dharti ka, aur Pita ki mahima uske saath tha” (D&C 93:17). Barah Devduton ke Parishad Elder M. Russell Ballard ne kaha ki is shakti ke dwara humare Uddhaarkarta ne swarg aur dharti ko banaya hai, chamatkaar ko kiye, aur Gethsemane aur Calvary ke peede ko jhela hai.1 Jab hum yah jaan jaatein hain, Maseeh mein humare vishwaas aur bhi badhega, aur hum aur ziyada shaktishaali banenge.

Jab hum mandir ke vaadon ko banaenge aur nibhaaenge, Prabhu hume apne shakti se ashirwaad deta hai. Linda K. Burton, Sahayak Sanstha ki maha pradhaan, ne kaha: “Vaadon ko rakhne se shakti, adhikaar, aur bachaao praapt hota hai. … Abhi haal hi main ek priye mitra se mili. Usne gawahi diya ki uske mandir endowment ko praapt karne ke baad, usne shakti ko mahesoos kiya tha behkawe se bachne mein.”2

Nephi ne vaadon ke shakti ki gawahi diya: “Main, Nephi ne, Parmeshwar ki Memne ki shakti ko dekha, ki wah …Prabhu ke shartnaama logon ke upar aai, … aur weh satyenishta ke hatyaar liye hue Parmeshwar ke saamarth mein shubhaayemaan ho rahe the” (1 Nephi 14:14).

Anye Dharamshaastra

Jeremiah 51:15; Revelation 1:6; Jacob 4:6–7; Mosiah 3:17

Dharamshaastra mein se

Martha aur Mary ke liye mahaan daya se bhar jaane ke baad, Ishu Maseeh ne unke bhaai Lazarus ko Parmeshwar ke shakti ke dwara jo Un mein tha se maut se jilaya.

Ishu Martha aur Mary ke ghar par gaya tha Lazarus chaar din kafan mein ho jaane ke baad. Weh Lazarus ke gufe mein gaye the, aur Ishu ne aagya diya ki gufe ke saamne se patthar ko hata diya jaye. Ishu ne Martha se kaha, “Kya maine tujh se nahi kaha tha ki yadi tu vishwaas karegi, to Parmeshwar ki mahima ko dekhegi?” Usne phir Parmeshwar jo Pita hai se prarthna kiya aur “bade shabd se pukara, Lazarus, nikal aa.

“Aur jo mar gaya tha wah kafan se haath paao bandhe hue nikal aaya.” (Dekhiye John 11:1–45.) Uddhaarkarta Apne shakti ko hume bachaane aur shakti pradaan karne ke liye istamaal karta hai. Humara vishwaas Usmein aur ziyada badhega jab hum yaad rakhenge ki Wah shakti aur mahima se bhara hua hai.

Vivran

  1. Dekhiye M. Russell Ballard, “This Is My Work and My Glory,” Liahona, May 2013, 18.

  2. Linda K. Burton, “The Power, Joy, and Love of Covenant Keeping,” Liahona, Nov. 2013, 111.

Yeh Sochiye

Kis tarah Parmeshwar ke shakti hume shakti aur mahima se bal deta hai?