2012
Parivaar ke Rakshak
February 2012


Shikshan Sandesh Bhent, February 2012

Parivaar ke Rakshak

Is utpaadan ka adhyan karein, aur jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Vishwaas, Parivaar, Sahayak

“Tum parivaar ke rakshak ho,” Pradhaan Gordon B. Hinckley ne (1910–2008) mein kaha jab usne “The Family: A Proclamation to the World” ko 1995 mein maha Sahayak Sanstha ke sabha mein pehli baar batlaaya. “Tum bachchon ke paeda karnewaalen ho. Tum woh ho jo unhe poshan karte ho aur unke zindagi mein aadaton ko banate ho. Koi aur bhi kaam itna zaroori nahin hai jitna ki putra aur putriyon ki poshan.”1

Lag bhag 17 varshon se abhi tak yeh ghoshna laagu hai ki hamare sab se zaroori zimmedariyaan hai ki parivaaron aur gharon—ko mazboot karna chaahe kuch bhi hamari stithi ho. Barbara Thompson, Sahayak Sanstha maha adhyakshta ki dusri salahkaar, Salt Lake Tabernacle mein thi jab Pradhaan Hinckley ne pehli baar ghoshna kiya tha. “Woh ek mahaan avsar tha,” woh yaad karti hai. “Mainne sandesh ke mahatva ko mehsoos kiya tha. Mainne apne aap ko sochte hue paaya, ‘Yeh maata-pitaon ke liye mahaan maargdarshan hai. Yeh maata-pitaon ke liye badi zimmedaari hai.’ Mainne kuch der ke liye socha ki woh mujh par bahut lagoo nahin hota kyunki mai shaadi shuda nahin tha aur mere paas bachche nahin the. Magar bahut jald hi mainne socha, ‘Magar woh mujh par bhi laago hai. Mai ek parivaar ka sadasye hoon. Mai ek putri, ek bahan, ek chaachi, ek cousin, ek mausi, aur ek naatin bhi hoon. Mere paas bhi zimmedaariyaan—hai aur aashirwaadein—kyunki mai ek parivaar ka sadasye hoon. Chahe mai apne parivaar ka sirf aakhri jiwit sadasye hota, mai Parmeshwar ke parivaar ka bhi to sadasye hoon, aur mere paas zimmedariyaan hai dusre parivaaron ko mazboot karne ke liye.’”

Saobhaagye se, hamein akele mushkil ke samay par nahin choda jaata. “Sabse mahaan madad,” Bahan Thompson ne kaha, “parivaaron ko mazboot karne ke liye yeh jaanna aur Masih ke siddhaanton par chalna aur Usi par nirbhar rehne se milega.”2

Dharamshaastra mein se

Proverbs 22:6; 1 Nephi 1:1; 2 Nephi 25:26; Alma 56:46–48; Doctrine and Covenants 93:40

Hamare Itihaas Se

“Jab Bahan Bathsheba W. Smith ne chauthe Sahayak Sanstha maha adhyakshta mein sewa kiya tha [1901 se 1910 tak], usne parivaaron ko mazboot karne ki zaroorat ko dekha, aur phir usne Sahayak Sanstha ke bahanon ke liye maata par sikhnewaale paath ko banaya. Us paath mein shaadi shuda zindagi mein salaah, garbhwati mahilaaon ki dekhrekh, aur bachchon ko paalne posne ki chamta yeh sab shaamil the. Yeh paath Pradhaan Joseph F. Smith ke shikshan se milte the Sahayak Sanstha mahilaon ko madad karne mein unke gharon ke bhumikaon mein:

“‘Jab kabhi bhi parivaar ko lekar ya parivaar ke kaaryon aur bandhan ko kam samjha jaata hai jo hona chahiye aur woh sahi rup se pati aur patni aur maata-pitaaon aur bachchon ke beech hoti hai, wahan par yeh sangathan hoti hai ya honewaali hai, aur praakritik dhaarmik uphaar aur prerna jo sangathan ke paas hoti hai woh tayyaar rehte hai sikh pradaan karne ke liye un zaroori kaaryon mein.’”3

Vivaran

  1. Gordon B. Hinckley, “Stand Strong against the Wiles of the World,” Ensign, Nov. 1995, 101.

  2. Barbara Thompson, “I Will Strengthen Thee; I Will Help Thee,” Liahona aur Ensign, Nov. 2007, 117.

  3. Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 153.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Un bahanon ko mai kis tarah madad kar sakti hoon parivaaron ko shaktishaali banane jinki main dhyaan rakhti hoon?

  2. Kis tarah mai apne parivaar ko sachchaai ka prabhaao de sakti hoon?