2010-2019
Raasta taeyaar Karo
April 2017


Raasta Taeyaar Karo

Bhale hi unhe dusre missions aur adhikaar mile hai, Aronic Purohiti aur Melchizedek Purohiti mukti ke kaarye mein dono ki bhaagidari hai.

Jab main 30 saal ka tha, Maine France mein ek bechanewaale sangaton mein kaam karna shuru kiya. Ek din kampany pradhaan, ek dusra vishwaasi ka achcha aadmi, ne mujhe apne daftar mein bulaya. Uske sawaal ne mujhe chakit kar diya: “Maine abhi hi sunna ki tum apne girjaghar mein paadri ho. Kya yah sach hai?”

Maine jawaab diya, “Ha, yah sahi hai. Mere paas purohiti hai.”

Mere jawaab se akarshit hua, usne pucha, “Kya tumne dhaarmik vidhyalaye mein shikshan kiya hai?”

“Ji haa,” maine jawaab diya, “14 aur 18 ke umar ke beej mein, aur maine laghbhag sabhi din dharmik vidhyalaye mein shikshan liya!” Wah apne kursi se girne hi wala tha.

Main bahut hi aschariye mein hua jab kai safton baad usne mujhe apne daftar mein bulaya mujhe sangaton ke ek company mein managing nirdeshak ke sthaan par. Main aschariye hua aur apna chinta batlaya ki main bahut jawaan hoon aur zaroori zimmedari ka anubhao hi nahi hai. Ek daya bhare muskurahat ke saath, usne kaha, “Yah sach ho sakta hai, parantu koi zaroorat nahi hai. Mujhe tumhare sidhaanti pata hai, aur main jaanta hoon ki tumne apne girjaghar mein kya sikha hai. Mujhe tumhari zaroorat hai.”

Wah sahi tha ki maine Girjaghar mein kya sikha hai. Uske baad ke saal mushkil ke the, aur mujhe pata nahi tha ki kya mujhe safalta prapt hoga bina koi anubhao ke Girjaghar mein sewa karke maine sikha tha shuru kiya jab ek jawaan ladka tha.

Mujhe badhane mein ashirwaad prapt hua tha ek chote shakha mein. Kyunki humare shakha mein kam sadesye the, yuva ko niyukti prapt thi shakha ke sabhi sakriye cheezon mein bhaag leka. Main bahut vyast tha aur kaam karne ke ahesaas ko pasand karta. Raviwaar ko main prabhubhoj mez par bhaag leta, apne purohiti ke prishad mein sewa karta, aur dusre niyuktion mein kaarye karta. Safta bhar main apne pita aur dusre buzurg purohiti rakhne waalon ke saath jata jaha hum ghar par sadasyon ko sikhlate, bimaar aur dukhiya ko sahara dete, aur zarooratmandon ki madad karte. Koi bhi nahi sochta ki main bahut jawaan tha sewa ke liye ya agwaahi ke liye. Mere liye, yah sab kuch saral aur aasli hai.

Sewa jo maine us jawaani ke saalon mein kiya tha ne mujhe apne gawahi ko banane mein madad kiya aur susamachaar ko mere jiwan mein laya. Main achche aur dayabhare logon ke ird-gird tha jo apna purohiti ke istamaal se dusron ki jiwan ko ashirwaad de rahe the. Main unki tarah banna chahata tha. Unke saath sewa karke, usse bhi zyaada jitna maine us samay socha nahi tha, maine Girjaghar mein neta banna sikha hai aur duniya mein bhi.

Humare paas kai jawaan purush hain is sabha mein bhaag lete, dekhte ya sunte hue aajraat jo Aaronic Purohiti rakhte hain. Jab main sunnewaalon ko dekhta hoon, main dekhta hoon ki tum mein se kaibuzurg aadmi ke bagal mein baete ho, shayad tumhare pitaaou, tumhare nanaoun, tumhare bade bhaaiyon, ya tumahre purohiti rakhne waale netaaoun- sabhi Melchizedek Purohiti rakhne waalon. Weh tumhe prem kartein hain, aur mahaan bhaag mein, weh aaj raat tumhare saath rahane ke liye aaye.

Is sabha mein kai peediyon ke purohiti rakhne waale shaamil hue hai ekkta ka ek mahaan drishye hai aur bhaaitav ka jo Parmeshwar ke do afsaron ke beech hota hai. Bhale hi weh dsure zimmedariyon aur adhikari, Aaronic Purohittav aur Melchizedek Purohiti mein shaamil the mukti ke kaarye mein saath bhaag letey hai. Weh saath hi saath chale aur ek dusre ki mahaan zaroorat hai.

Nazdiki netadari ka sahi uddhaaran hai jo do purohititav ke beech rahata hai Ishu aur John Baptist ke beech mein paya jata hai. Kya koi Ishu ke bina John Baptist ko soch sakta hai? Uddhaarkarta ka mission kya hota John se kiye hue kaarye karne ke alawa?

John Baptist ko ek sabse mahaan mission mila tha sabhi samay ke liye “taaki Prabhu ke mission ke raaste ke liye taeyaari kare,” 1 Usko paani se baptisma dene ke liye, aur logon ko taeyaar kare Usko swikaar karne mein. Yah “sirf … pavitra [insaan],” 2 jisse kam purohititav ki niyukti prapt hui, dono uske mission aur uske adhikaar ke zarooraton aur hadh ko sahi tarah se jaanta hai.

Log badi beed mein John ko sunne aye aur use baptisma lene. Usko izzat mili aur Parmeshwar ke logon ki tarah khudh hi izzat kiya. Parantu jab Ishu aaya, John vinamrata se Ishu ke bare mein khudh se zyaada batlaya, “Main paani se baptisma deta hoon: parantu waha tumhare beech ek khada hai, … jo mere aane ke baad pasand hua, jiske sthaan mein main nahi a sakta.”3

Uske bhaag mein, Ishu Masih, Pita ka Eklauta, jiske paas sabse bada purohiti hai, vinamrata se John adhikaari ki tarah. Uske bare mein, Uddhaarkarta ne kaha, “Unke beech jo mahila se payeda hue the yaha John Baptist se zyaada mahaan nahi the.”4

Sirf uske bare mein socho ki humare purohititav parshad mein kya ho sakta hai agar do purohititav ke rakhnewaalon ke beech hota Ishu aur John Baptist ke banaye hue prerna se. Mere Aaronic Purohititav ke jawaan bhaaiyon, John ki tarah, tumhara “kaarye hai ki raasta taeyaar karo” 5 Melchizedek Purohiti tav ke mahaan karye ke liye. Tum yah kai tarikon se kar rahe ho: Tum baptisma ke soddhaanton ko kar rahe ho aur prabhubhoj ka.Tum prabhu ke liye logon ko taeyaar karne mein madad karte ho susamachaar ko sikhla kar, “har ek sadasye ko [bhent] karke 6 aur girjaghar ki [rakhwaali] karke .” 7 Tum gareeb aur zarooraton ko madad pradaan kar rahe ho upwaas bhet ikkatta karke, aur tum Girjaghar sabhagharon ki dekhrekh mein bhaag lekar aur dusre sharirik saadhanon mein. Tumhara kaarye avashyak, zarooratmand, aur pavitra hai.

Mere buzurg bhaaiyon, chahe tum pita, paadri, Jawaan Purush salahakaar ya Melchizedek Purohititav rakhne waale hi ho, tum Uddhaarkarta ke uddhaaran par chalte ho apne bhaaiyon ko sochte hue jo kam purohiti ko rakhtein hain aur unko tumhare saath kaarye karne ko amantirith karte ho. Sachchaai mein, yah amantaran Prabhu se khudh aata hai. Usne kaha, “Isliye, unko apne saath lejaao jo kam purohiti ko rakhte hai, aur unko khudh se pahale bhejh do kaarye karne ke liye, aur raasta taeyaar karne ke liye, aur un kaaryon ko pura karne ke liye jo tum khudh hi nahi kar pate.” 8

Jab tum apne jawaan bhaaiyon ko “raasta taeyaar karne ke liye amantrit kare,”  tum unko jaane mein madad karte ho aur unke pavitra adhikaar ko izzaat kartey ho. Yah karne se, tum unko madad karte ho apne khudh ke raaste ko taeyaar karne mein jab weh apne din ke liye taeyaar hote ho unchi purohiti prapt karne aur karne mein.

Main Alex ke kahani ko batlata hoon, ek shaant,dekhbhaal karne waala, aur mahaan jawaan paadri hai. Ek Raviwaar ko Alex ke paadri ne use kaksha mein akela dekha bahut hi bade soch mein. Jawaan purush ne samjhaya uske liye kitna mushkil tha apne pita ke bina girjaghar jana, jo ek sadesye nahi tha. Usne rote hue kaha yh uske liye achcha hota Girjaghar ko chodh dena.

Is jawaan aadmi ke liye mahaan chinta, padri ne ward ke salahakaaron ko turant Alex ko madad karne ke liye kaha. Uska yojna saral tha: Alex jo askriye rakhne mein aur usko mahaan susamachaar ki gawahi ko banane ki madad mein, unko zaroori tha “uske ird-gird achche log rahe aur usko zaroori kaarye karne ko dena.”

Turant hi purohititav bhaayion aur ward ke sare sadasyon Alex ke madad kiye aur apne ahesaas aur madad ko diye. Unche paadri sangaton ke neta, ek insaan mahaan vishwaas aur prem mein, uske gharelu shikshan saathi ki tarah chuna gaya. Bishopric ke sadasyon ne usko madad kiya aur usko apne nazdeeki saathi banaya.

Bishop ne kaha: “Humne Alex ko shaamil rakha. Usne shaadi kaye, sewaaein kiye, kafan ko samarpan mein madad kiya, kai naye sadasyon ko baptisma diya, jawaan purush ko Aaronic Purohiti daftaron mein pradaan kiya, yuva ke shikshan sikhe, prachaarakon ko sikhlaye, sammelanon ke liye imaarat khole, aur sammelan ke bad der raat ko imaarat bandh kare. Usne sewa kaarye kiye, buzurg sadasyon ko bhent karne mere saath gaye jo swaast laabh prapt kar rahe the, prabhbhoj sabha mein bhaashan diye, aspataal mein bimaaron ke liye prabhubhoj le gaye ya unke gharon par aur ek chote se logon ke sangaton bane jispr main puri tarah bishop ki tarah nirbhar hota.

Tasveer
Alex aur unka bishop

Dhire, dhire, Alex badal gaya. Uska vishwaas Prabhu mein badh gaya. Usne khudh mein aswaasan prapt kiya aur prohititav ki shakti se kiya. Bishop nr aage kaha: “Alex humesha tha aur humesha mera ek mahaan ashirwaad rahega mere bishop ke samay par. Kitna abhari hoon uske saath ke liye. Main vishwaas karta hoon ki koi aur jawaan purush mission kaarye par gaya nahi hoga uski tarah purohititav ki sewa karke.”9

Mere pyaare bishops, tumhare niyukti ke saath aur tumhare ward ke bishop ki tarah, tumhe Aaronic Purohititav ke pradhaan ki sewa ke pavitra niyukti mein aur prieston ke parishad ka. Mujhe pata hai jo bari musibatein tum jhelte ho, parantu tumhe apne kaarye ko in jawaan purushon ki tarah banana chahiye tumhare sabse bade kaarye ki tarah. Tum bhola ya mita nahi sakte dsuron ke liye kaarye mein zimmedari ko.

Main tumhe amantrit karta hoon ki ward ke har ek jawaan Aaronic Purohitav ke rakhnewaalon ki tarah socho. Unmein se koi akela ya koi na kaam ka nahi mehsoos karna chahiye. Kya yaha par koi jawaan aadmi hai jise tum aur dsure purohititav bhaai madad kar saktein hain? Usko apne saath sewa ke liye amantrit karo. Kai baar hum apne jawaan aadmiyon ko khush kartein hai aur unko karne ke bajaye dekhne detein hain, jab susamachaar mein unke vishwaas aur prem badh sakta hai apne purohititav ko badhane se. Zakriye tur se mukti ke yojna mein bhaag lene se, weh swarg ke saath jodh jayenge aur weh apne diviye shakti ko pahachanege.

Aaronic Purohititav ek umar ke dal se zyaada hai, ek shikshan ya ek gatividhi kaaryekaram, ya Girjaghar ke jawaan aadmiyon ko ek shirshak dena. Yah shakti aur adhiraar hai bachane waale aatmaoun ke mahaan kaaarye mein bhaag lena—dono jawaan purush ke aatmaoun jo rakhtein hain aur unke aatmaoun jo sewa kartein hain. Aaronic Purohititav ko sahi dhang se karna chahiye, ek sthaan ke chunaao—aur ek sewa ka sthaan, taeyaarion, aur Girjaghar ke sabhi jawaan purushin ke purti mein.

Melchizedek Purohititav ke mere pyaare bhaaiyon, main tumhe amantrit karta hoon ki khaas netadari ko mazboot karo jo Parmeshwar ke do purohititav ko saath karta hai. Apne Aaronic Purohititav ke yuva ko tumse pahale raasta taeyaar karne ke liye shakti do. Unko aswaasan ke saath batlaao. “Mujhe tumhari zaroorat hai.” Aaronic Purohititav ke rakhne waalon ke liye, main prarthna karta hoon ki jab tum bade bhaaiyon ke saath sewa pradaan karo, tum Prabhu ke awaaz ko sunnoge tumhe batlaate hue: “Tumhe ashirwaad mile, ki tum mahaan kaarye karo. Dekho tumhe aage bheja gaya, John ki tarah, mujhe pahale raasta banane ke liye.”10 Ishu Masih ke naam se, amen.