Bada Din ke Sandesh
Jagat ka Prakaash aur Jiwan


Jagat ka Prakaash aur Jiwan

(3 Nephi 11:11)

Sabse parichit aur pyaara kahani Uddhaarkarta ke janm ka Naye Niyam ke Luke ke dusre bhaag mein paaya jaata hai. Main abhaari hoon har samay ke liye jab main Joseph aur Mary ke baare mein padhta hoon jab weh Bethlehem ki yaatra kiye the, charni, Ishu Maseeh ki vineet janm, aur farishte jo kehte hai “anand ka susamachaar sunata hoon … sab logon ke liye” (Luke 2:10).

Susamachaar ka Punahsthaapna antim dinon mein ek khaas saathi ki kahani ko pradan karta Uddhaarkarta ki janm ka Mormon Dharamshaastra mein. Mera sandesh is pehla Badadin ka athirikt vivran ko spasht karta hai. Jab hum is pal ko saath mein vichaar karte hai, bhaaiyon aur bahanon, main aapko amantrit karta hoon ki apne aap ko dekhein is kahani mein aur kewal shabdon ko hi na sunein.

Main prarthna karta hoon ki Pavitra Aatma aapko madad karenge ki aap is dharamashaatra mein aspne aap ko aur apne parivaar ko rakhein (dekhiye 1  Nephi 19:23) aur apne hriday ko Badadin ki sachchi aatma se bhariye.

Samuel Lamnaayti

Hamari kahani Zarahemla mein Maseeh ke janam se kuch varsh pahale Samuel the Lamanyti ke logo ke beech pashchataap aur Masiha ki bhavishvaani prachaar karne aya tha. Ab kuch samay ke liye mehsoos ki jite ki aap 10 varsh ka ek sadasye hai jo bhavishvakta ko bhavishye ki ghatnaaye bataate sun rahe hai.

Samuel ne ghoshna ki: “Sunno, main tumhe uss samay ek sanket dugaa, jabki paanch vaarsho mein Parmeshwar ka Putr un logo ka uddhar karne ke liye aayega jo uske naam par vishwaas karenge.

“Aur uske aane ke samay main jo sanket gugaa wah yaha hoga ki uske aane se purv aasmaan mein itna tez prakaash hoga aur raath ka andhkar itna meet jayega ki ek vyakti ko wah din ke samaan pratit hogi.

“Isliye ek din aur ek raat, aur phir ek din, ek hi din ke samaan lagenge, maano raat hui hi nahi; aur yahi tumhare sanket ke liye hoga.  …

“Aur sunno, ek naye taara niklegaa … ; aur bhi tumhare liye ek sanket hoga(Helaman 14:2–5).

Uddhaarkarta ka Janm

Aur aisa hua ki varsh, “ke aarambh mein bhavishyevaktayon ki bhavishyevaktayan aur bhi adhik puri honi aarambh hui; kyunki logo mein aur bade-bade sanket aur chamatkaar hone lage” (3 Nephi 1:4).

Kripya ab sochiye paanch saal guzaar gaye aur aap ab lagbhaag 15 varsh ke hai. Aap Samuel ke bhavishyevaani ko achche se yaad karte hai jaise ki aap gaur karte hai jo hal ka halat par jo aap rehte hai.

“Lekin kuch logo aise bhi ye jo kehne lage ki Samuel Lamanite dwara kahi gayi baato ke hone ka samay beet chukka.

“Aur weh apne bandhuo se yeh kehte hue aanand manaane lage: samay beet gaye aur Samuel dwra ki gayi bhavishyevaani puri nahi hui; isliye is vishay par tumhara anand vishwaas vyatr hua.

“Aur aisa hua ki desh bhar mein in logo ne bhaari shor machaya; aur jin logo ne vishwaas kiya thaw eh yaha sochkar dukh karne lage ki kahi aisa na ho ki kahi baato gathit hi na ho.

“Lekin sunno, weh dridtha ke saath us samay ki pratikcha karne lage jabki ek din, ek raath aur phir ek din, ek hi din ke samaan honge, jaisee raath hui hi na ho, jisse ki unhe maalum ho ki unka vishwaas vyatr mein nahi gaya.

“Aur aisa hua ki avishwaasiyon dwara ek din nishchay kiya gaya ki agar Samuel dwara batayesanket dhikai nahi diye, tab unhe maar dalna chahiye, jinhone un paramparao par vishwaas kiya hai” (3 Nephi 1:5–9).

Bhaaiyon aur bahano, kya hum samajh payenge ki Uske aane ke chinh ka intazaar karein aur maut ki khatarnak antim samay ka saamna karein? Kya aap aur main vishwaas mein mazboot aur nirantar se khade honge, ya kya hum hichkichaahat aur sakuchanaa honge?

Phir, sachmuch mein, Maseeh ki janm ki sanket Samuel se bataya gaya hai. Ek dhaarmik khasht ki mausam mein aur nividaa umr laghbhaag 15 par, aap ek shaam par aashcharyejanak hue jaise ki surye nahi dikhai lekin andhera nahi tha.

“Aur log chakit ho uthe, kyunki raath hone par andhera nahi hua.  …

“Aur weh yaha jaanne lage ki Parmeshwaar ka Putr shidr hi aane waala hai; ha, saari dharti ke log … adhik chakit hue ki weh dharti par gir pare.  …

“Aur aisa hua ki saari raath andhera nahi hua aur aisa prakaash hua ki maano madhyaanh ho. Aur aisa hua ki subah ko phir se suyorday niyamanusaar hua. … aur weh diye gaye sanket ke karan jaan gaye ki yahi wah din hai jabki Prabhu janm lega.

“Aur jaisa ki bhavishyevaktaon ne kaha tha, sab kuch bilkul ussi tarah hua.

“Aur vaani ke anusaar ek nawee taara bhi udhit hua” (3 Nephi 1:15, 17, 19–21).

Jis din Ishu ka janm hua tha woh ek mukti ka din vishwaasiyon ka Nayi Duniya mein. Jyoti hua jaise ki Uddhaarkarta ki janm ka sanket hua tha hamare jiwan ko bachane mein.

Uddharkarta ki Mrityu aur Punarujiwan

Ab, bhaaiyon aur bahano, ye sochiye ki 30 saal beet gaye aur ab aap 50 varsh ke kareeb aa rahe hai. Aap ko ab bhi yaad hai Samuel ki shiksha ko aur tumhari yuva anubhav ko jab Prabhu ki janm ka chinh diya gaya tha.

Samuel dwara bataye gaye sanket ki pratigya karne lage jabki dharti par teen dinon tak andhera Chaya rahega (dekhiyeHelaman 14:27; 3 Nephi 8:3).

“Aur aisa hua ki saari dhartti par itna dhana andhkar cha gaya ki jagat ke jiwiti baje logo ne andhkar ke vaasp ka anubhav kiya;

“Aur andhkar ke karan koi prakaash nahi ho saka, na to mombaati jalaai ja saki aur na to mashaal hi jalaai gayi; aur na hi uchchi sukhi lakriyon ke hote hueaag hi jalaai ja saki … , is karan kisi bhi tarah se prakaash na hua;

“Aur kisi prakaar ka prakaash ya aag dekhi na gayi, na hi chamak, na suraj, na hi chandamaa aur na hi tare dekhe gaye, kyunki andkar ka jo kuhara dharti par chaya hua ya wah itna dhana tha.

“Aur aisa hua ki teen dinon tak koi bhi prakaash nahi dekha gaya” (3 Nephi 8:20–23).

Kaisa hi hoga ki us teenon dinon ki varnantih andhera ko anubhav karein aur phir, todhi der ke baad mein, 2,500 logo ke beed mein mandir mein jo Bountiful ke jagat mein? Kya aap kalpaana karenge mahima ki mauke par jaise ki Uddhaarkarta swarg se se aaya aur kehta, “Sunno main Ishu Maseeh hoon. … Mainjagat ka prakash aur jiwan hoon”? (3 Nephi 11:10–11; italics lagaya gaya).

Is khaas sabha ko is mandir mein, do shabd jo Uddharkarta ka Apneaap ka niruptha karte hue kaha hai ki “jyoti hai.” Samuel ne jyoti ki sanket ko bhavishyevaani ki. Jyoti ki sanket ko Uddharkarta ki janm mein diya gaya tha. Logo ko jo beed mein tha, bhayaankar andhera aur dar sachche jyoti se vyast ho gaye, aur bhi Ishu Maseeh.

Jo mahatav pehla Badadin Mormon Dharamshaatra mein humko madad karte hai sikhne mein aur puri samjne mein ki Ishu Maseeh hi “jyoti hai jo andher amein chamakta hai” (dekhiyeD&C 10:57–61). Hamare jiwan ke har mausam mein, sab halat mein jo hum samna karte hai, aur har mushkilon ko samna karte hai, Ishu Maseeh hi jyoti hai jo dark o dur karte hai, bharosa dete hai, aur shaanti aur khushiyon ko theek karte hai.

Kai Badadin ki yaadein aur jelna ki paramapara jo dusre prakar ki jyoti ko laate hai- pedo mein jyoti, gharon mein jyoti, table mein jyoti. Is jyoti jo har mausam mein humko yaad dilate hai Usko jo jyoti ki pratam karan hai.

Yet in thy dark streets shineth

The everlasting Light.

The hopes and fears of all the years

Are met in thee tonight.

(“O Little Town of Bethlehem,” Hymns, no. 208).

Main gawahi deta hoon ki Ishu Bethlehem mein paeda hua tha, vijyi bhao se Apni maranshil mission aur dekhrekh mein, aur hamare punarjiwit hona Prabhu, Woh jiwit hai. Main Prabhu Ishu Maseeh ke pavitra naam se gawahi deta hoon, amen.