Shikshan Sandesh Bhent, March 2016
Parmeshwar ke Swarup mein Racha Gaya
Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondo jo batlana hai. Kaise “Parivaar: Duniya ke liye Ek Aupchaarik Ghoshna” ko samajhne se Parmeshwar mein tumhara vishwaas badhega aur tumhein shikshan bhent ke zariye dekhbhaal karne mein madad karega? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.
“Aur Parmeshwar ne kaha, Hum manushye ko apne swarup ke anusaar, apni samaanta mein banaye. …
“Tab Parmeshwar ne manushye ko apne swarup ke anusaar utpann kiya, apne hi swarup ke anusaar Parmeshwar ne usko utpann kiya; nar aur naari karke usne manushyon ki shrishti ki” (Genesis 1:26–27).
Parmeshwar hamara Swarg ka Pita hai, aur Usne hamein Apne swarup mein banaya hai. Is sachchaai ke baare mein, Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha: “Parmeshwar hamare Pita ke paas kaan hai jinse woh hamare prarthnaaon ko sunta hai. Unke paas aankhein hai jinse woh hamare kaarnamo ko dekhta hai. Unke paas ek muh hai jisse woh humse baat karta hai. Unke paas ek dil hai jisse woh daya aur prem mehsoos karta hai. Woh asli hai. Woh jiwit hai. Hum unke bachche hai unke swarup mein bane huwe. Hum unki tarah dikhte hai aur woh hamari tarah dikhta hai.”1
“Antim-din Sant sabhi logon ko Parmeshwar ke bachchon ki tarah dekhte hai ek pure aur sampurn dhang se; woh har vyakti ko divye maante hai aarambh, prakriti, aur sambhavna mein.”2 Sab “ek priye aatmik putra ya putri hai swarg ke maata/pita ke.”3
“[Bhavishyevakta] Joseph Smith ne yeh bhi seekha ki Parmeshwar chahata hai ki Unke bachchein usi tarah ka unnat jiwan paaye jismein Woh khud jeeta hai.”4 Jaise Parmeshwar ne kaha, “Suno, yeh mera kaarye aur mahima hai—ki manushye ko amaransheelta aur anant jiwan dilaaun” (Moses 1:39).
Anye Dharamshaastra
Genesis 1:26–27; 1 Corinthians 3:17; Doctrine and Covenants 130:1
Dharamshaastra mein se
Mormon Dharamshaastra mein Jared ke bhaai ne tarika dhoondha jisse woh aath naaon mein raushni laa sake jis mein Jaredite log vaada kiye bhumi tak pahunch sake paani paar karke. Usne “ek chattaan ko gala kar solah chote patthar banaye” aur prarthna kiya ki Parmeshwar Apni ungli se “in pattharon ko chuwe taaki woh andhere mein chamakne lage.” Aur Parmeshwar ne “apna haath badha kar aur ek ek karke har ek patthar ko chuwa.” Jared ke bhaai ke aankhon se parda hata, aur “usne Prabhu ke ungli ko dekha; aur woh ek manushye ka ungli tha. …
“Aur Prabhu ne usse kaha: Mai jo baate kahunga kya tum uspar vishwaas karoge?
“Aur usne uttar diya: Haan, Prabhu.”
Aur “Prabhu ne [Jared ke bhaai] ko darshan diya” aur kaha, “Kya tum dekh sakte ho ki tum mere hi swarup ke banaye gaye ho? Haan, aarambh mein sabhi manushye mere swarup mein banaye gaye the.” (Dekhiye Ether 3:1–17).
© 2016 dwara Intellectual Reserve, Inc. Pure adhikaar surakchit. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/15. Anuwaad swikriti: 6/15. Visiting Teaching Message, March 2016. Hindi, Fiji. 12863 298 ka anuwaad