Yuva
Mere Raviwaar Kaksha ke Shikshak ko Dhanyevaad
Mera Raviwaar Kaksha hamesha shridha purwak nahin rehta. Main har hafte paath ko sunna pasand karta hoon, magar kabhi kabhi aysa lagta hai jaise kaksha ke anye sadasye nahin sunte hai. Aksar woh ek dusre se baat karte ya electronic devices se khelte rehte hai jab shikshak padhaane ki koshish karta hai. Durbhaagyevash, main kabhi kabhi apne aap ko is samasya ka hissa bana leta hoon.
Ek saptaah hum bahut hi bure the, aur kaksha ke ant tak, hamara shikshak rone laga kyunki koi bhi uska paath nahin sun raha tha. Jab hum kamre se baahar aa rahe the, mainne uske liye bura mehsoos kiya.
Agle saptaah Raviwaar ko hamare shikshak ne batlaya ki usne us saptaah bahut zyaada prarthna kiya tha, maargdarshan ko dhoondhte hue, aur use laga ki hamein ek Girjaghar waala filam dikhana chahiye. Usne filam shuru kiya, jo Ishu Masih ke jiwan aur Uske dwara kiye chamatkaaro par tha.
Jab mai us shaam ko us filam ke baare mein soch raha tha, mainne kuch alag mehsoos kiya. Achanak mainne yeh mehsoos kiya ki mai Aatma ko mehsoos kar raha hoon, pehle se zyaada. Turant mainne yeh nishchay kiya ki mai apni zindagi mein badlaao laana chahata tha taaki Uddhaarkarta jaisa ban sakun, aur mainne mehsoos kiya ki Raviwaar Kaksha ka us din ke anubhav ne mere gawahi ko mazboot kiya. Main apne Raviwaar Kaksha ke shikshak ke liye abhaari hoon aur sabhi kaarye ke liye jo woh karti hai hamare kaksha ke liye har saptaah.